Wo aakhiri baar subah subah tera mujhse mil jaana,
Aur mera tujhe dekhte hi suraj sa chamak jaana .
.
Wo aakhiri baar tere saath baithna ,
Aur bina kuch bole ghanto gujar jaana. .
.
Wo aakhiri baar tera meri najro me jhaakna,
Jaise kisi anjaan safar ka raasta mil jaana.
.
Wo aakhiri baar tera mujhe apne haatho se khilaana,
Aur mera kisi chote bacche ki tarah khilkhilaana.
.
Wo aakhiri baar tera mere haath pakadna,
Aur mera unhe kabhi na chodhne ki jidd kar jaana.
.
Wo aakhiri baar tera meri baato pe jor se hasna,
Aur mera teri muskaan ko dekh ke muskuraana .
.
Wo aakhiri baar tera mujhe gale se lagaana,
Aur mera teri dil me dhadakti dhadkanno ko sunn jaana.
.
Wo aakhiri baar tera mujhe dekhna,
Aur mera tujhe.
.
Wo aakhiri baar tera mujhe beech raaste tak chodhna.
Aur kehna ki "ghar pahuchte hi call kar dena "
Aur mera aakhiri baar tujhe dekh ke ghar ki taraf mudd jaana. .
Yaad aata hai..
Bahut yaad aata hai !!


Post a Comment
0 Comments